Har kisi ko doodh pilane ka ek alag tareekha hota h, jaise ma bacche ko doodh data k ya pyar se doodh peene ko bolti h to baccha ma ko kisi aur tarah se. Isi tarah har koi kisi na kisi ko ek dhang se doodh peene ko bolta h, jaise:
1. Ma bacche ko:
-"Doodh peelo beta, garam h thanda hojayega"
-"Beta, doodh garam kardiya h, jaldi se peelo, mera pyara raja beta"
-"Beta...dekho bournvita daalkar tasty tasty doodh ready h...peelo"
-"hmmmmmmm...tasty yummy bournvita kaun piyega..."
2. Papa bacche se:
-Gusse se.."Chalo doodh piyo fatafat...thanda hojayega...der horai h"
-"Piya ni abhi tak....khatam karo ise jaldi se"....
-"Jaldi piyo doodh, warna...." Thappad dikhate hue :D
3. Bacche ma papa se:
-"Ma, tum humari baat mana karo, roj doodh peena h tumko, chalo doodh peelo"
-"Ma Papa apna dhyan rakha kariye, haldi daal ke doodh doon"
-"Dekhiya papa malai maarke doodh laaye h aapke liye...peelijiye"
4. Pati Patni se ya patni pati se:
In praniyo ke kuch alag andaz hote h...
-Pehle doodh ki farmaish karte huye:
1. Pati Patni se:
"O jaana....Meri Jaana...seekho doodh kaise banana...
Pehle doodh ko khaulao, phir bournvita usme milao...
Hai ye mera taste purana"
2. Patni Pati se:
" Raghupati Raghav Raja Raam...Aisa kare mera pati...Hey Bhagwan...
Dinner ke baad doodh khaulaye...
Doodh khaulakar bournvita usme milaye...
Aur kahe...peelo peelo meri jaan...
Aise kare mera pati...Hey Bhagwan"
-Phir dono ek doosre ko doodh pilane ke liye:
"Jaan...meri jaan...doodh peelo"