Do pal ki dosti dila do koi fir.
chaar pal ki mehfil jama do kahin fir.
chai ki tapri par baithe wo pal,
haathon me yun hi jalti ciggarette mein beeta wo kal.
chai ke wo pyaale yun baaton me aksar jo thade ho jaate the.
din aur raat ki na ijjat karte the jab aaj na kal.
yaaron ke sang honthon pe jab karti thi muskurahat har waqt kuch hulchul..
Do pal ki dosti dila do koi fir.
chaar pal ki mehfil jama do kahin fir.
Almast si baaton ki dor pe khwabon ki patang udti thi tab.
Raat bhar atthas ke chulhe pe mehfil ki rotiyan pakti thi jab.
Taash ke patton ke khel me simti thi jindagi.
Gaaliyon ke beech kahin hoti thi bandagi.
Bin jaane kis aur hain badhe kadam bus dete the chal.
Bus wahi Do pal ki dosti dila do koi fir.
Bus wahi chaar pal ki mehfil jama do kahin fir.