us shaam se lekar aaj shaam tak
raahton ki baaton se tanhaiyo ki aahat tak
muskurate labo se sukhe khushk hothon tak
tere saath se tere baad tak
jitna bhi jiya kuch dhua utha hai
here haathon ki jalebi se lekar is kaali chai tak
batue* mein teri foto se lekar noto ki basti tak
parde ki kankhiyon se lekar khule darwaze tak
hamare jaam se lekar us bawaal tak
jitna bhi jiya kuch dhua utha hai
chaumaas ki raaton se lekar pathjadh tak
khamoshiyon ki khushi se lekar khamoshiyon ke dukh tak
tere mushq se lekar aaj maili chaadar tak
jo tere aane mein waqt laga se lekar tujhe bhulane tak
jitna bhi jiya kuch dhua utha hai
palash ke fool se lekar kuch us tees tak
shamiyano mein tere saath se lekar haweli mein virane tak
teri reshmi julfo se lekar aaj meri badhi daadhi tak
hamare saath se lekar viraaniyon ki raat tak
us shaam se lekar aaj shaam tak
jitna bhi jiya kuch dhua utha hai ....
1. Batue = Wallet.
2. kankhiyon = kinare se chup chup ke dekhna
3. Chaumaas = Rainy Season
4. Mushq = Scent
5. Shamiyana = Tent house