Dekhkar Aapki Jawani ko Arzoo-e-sharab hoti hai.
Roj tauba ko todta hu magar, Roj niyat kharab hoti hai.
Aapke waste gunah sahi, hum piye to shavab bnti hai.
Sau gumon ko nichodne ke bad, Ek katra shrab bnti hai.
Tumhari mast nazar ka khumar ka kya kehna, Nashe me garg sabhi kayanat hone lagi.
Beparishti meri ibadat hai me kbhi bewajoo nhi pita, Main shrabi sahi magar jahid aadmi ka lahoo nhi pita.
Sar jispe jhukh jaye use dar nhi kehte..
Har dar pe jo jhukh jaye use sar nhi kehte .
Kya dunniya wale tujhe sitamgar nhi kehte, kehte to hai magar tere muh par nhi kehte
Kaabe main sajde ko kehte hai ibadat,
Maykhane main har jam ko sagar nhi kehte.
Kaabe main Musalman ko keh dete hai kafir, maykhane main kafir ko bhi kafir nhi kehte,
Saki ne maste nargis se mastana kar diya, Aisi pilayi aaj ki deewana kar diya..
Madmast Nigahoein ne pina sikha diya, Behki hui bahar ne peena sikha diya ,
Peeta hu islie mujhe jeena hai char din marne ke intejar ne peena sikha diya..
P.s- It is one of Nusrat Sahab's composition i found it very much amazing and that's why i have shared it....
Comments (3 so far )
"Sar jispe jhukh jaye use dar nahi kehte ..
Har dar pe jo jhuk jaye use sar nahi kehte"
Superb line ..thanks for sharing :)