De de wo mohabbat maula,
Jo tere dil mein hai,
De de wo kurbat maula,
Jiske liye hum tarse hain!
Kar de har dil tar tu, kar de mujhe tar tu,
De de wo rehmat maula,
Haan aaye hum ghar se hain!
Tu hi hai mera, main bhi hoon tera,
Ek tujhse mohabbat poori hai meri,
Haan aaya hun aaj main dar pe tere,
Kar de khwahish poori tu meri!
Ashq bade hain, hum khade hain,
Tere deewane hain zid pe ade hain!
De de wo mohabbat maula,
Jo tere dil mein hai,
De de wo kurbat maula,
Jiske liye hum tarse hain!
Kar de har dil tar tu, kar de mujhe tar tu,
De de wo rehmat maula,
Haan aaye hum ghar se hain!
Aa ja dil mein mere, karoon mehsoos main tujhe,
Aa ja bhar har zakhm mere, doon har din main tujhe,
Ek tu hi hai jo kare sacchi mohabbat mujhse,
Ek tu hi hai jo na todega naata umr bhar mujhse,
Aa ja kar de zindagi roshan meri,
Main toh kabhi bhi bhoolun na tujhe!
De de wo mohabbat maula,
Jo tere dil mein hai,
De de wo kurbat maula,
Jiske liye hum tarse hain!
Kar de har dil tar tu, kar de mujhe tar tu,
De de wo rehmat maula,
Haan aaye hum ghar se hain!
Ya khwaja...ya khwaja,
O Hazrat Nizamuddin Auliya,
Haan mere piya,
Haan ye paak dar hai tera,
Yahin basa loon ghar main mera,
Aa ja mujhe de de wo khushi,
Kar de gham door, de wo zindagi,
Jo karoon iss ishq pe qurbaan maula,
Haan karoon ishq pe qurbaan maula!