tere labon se hasi na chhoote, tere daman ki koi khusiyan na loote
jo aaye koi toofan saamne tere, uss toofan se sirf mera dil hi toote

yeh likhne ka shauk aapse hi aaya hai, kalam pakadna aapne hi sikhaya hai,
pyar tha hume bhi kisi kashmakash se, usse dil se bhulana aapne hi sikhaya hai..

tere aane ka hm intezar karte hain, aye sanam hm aaj bhi tujhe hi pyar karte hain,
uljhane teri zindagi me na aayen kabhi, hum tahe dil se yahi dua karte hain..

tujhe paane ki chahat nahi thi kabhi, tere dil me nahi aana tha kabhi,
chahte the bas itna ki tu apne pairon par khadi ho jaye, saari duniya teri taarif kare iss kaabil tu banke dikhlaye..

ab humara dil bhar aaya hai,,,
aankhon par aasuon ka saaya chhaya hai..

kisi ki hasi ki yaad hume satati hai,
kisi k bholepan ki yaad hume aati hai..

iss dil se baar baar uski salamati ki dua aati hai,
par kya unhe kabhi humari thodi bhi yaad nhi aati hai

shayad fir zindagi me mohabbat nhi karenge,
koi kitna v chahe usse swikar nhi karenge,
iss dard ki koi dawa nhi hai,
mere khayal se pyar se badi koi saza nahi hai..

Sign In to know Author