yeh bhujta sulagta cigarette zra thaam k rakhna
sochu jo tumhe to dhuwaaan inaaam me rakhna
soooratain hazaaro banay aag or dhuwain se
Dil me bharkay jo shola to isay kaaam me rakhna
aisa hai apna rishta jese ho cigarette or lab ka
badnaam aisay rishtay ko khaas-o-aam me rakhna
kuchaltay hain log, cigaretto ko choom k hamesha
meri chahato ko bhe yaaad tum inteqaam me rakhna
raakh ki kiya qeemat jo bikhray teri traf bhe
is raakh ko meri dawat,mere ta'aam me rakhna
or ho sakay to kehna bura mujhe or meri cigarrete ko
apni sharafat ko bus tum apne jaaam me rakhna
cigarette ko jab fana hai phr meri kiya ana hai
yaad apni be-hisi ko apne anjaam me rakhna
lab tak cigarette ka jo safar h , jese talwar ho chalti...
tm bs apni naseeehato ki talwaar niyaam me rakhna
para zameen pe ho cigarette ,zindagi bhe hai wesi
khayaal mere logo mere aaakhri ayaaam me rakhna...
yeh bhujta sulagta cirgerrate zra thaam k rakhna....