subha to abhi door hai
lekan yeh khamoshi kiun toot gayi?

yeh chainn chainn karti chirya kahan se aayi?
yeh chirya aakhir kiun hai aayi?

is ne khaamoshi ko kiun hai toda?
kiun kiya shuru is ne naghma-sarayi

shayad chirya ki boli koe sandesa hai laayi
shayad chirya ki boli se
teri payal ki chan chan yaad aayi

chan chan kar k the tu aayi
wo mehak fiza me wo teri parda-kushaayi
wo teri awaaz is sanaatay ko sur denay waali
wo teri ankhain tareeeki ko roshan karne waali
wo teri zulfain tareek raat ki zeenat
wo teri baatain jese koe meethi dhun
wo teri chaal jesay lehrata huwa jhumta huwa ped
waqye is guzarti raat me aik khayal aya
k

chirya to hai is liye aayi
k chirya to tujhe le kar aayi
k chirya to tujhe le kar aaayi...........

Sign In to know Author