Yun to badh jaana asaan hain..
Kuch yaadon ke hi to mela hain..
Ik dil hai na jaane kitno se khele hain..
Ashqon ki baarish bhi to mausam ke hi jaisi hai..
Dhoop chaanv sa rang badalti jindagi teri meri aisi hai..
Yun palat ke un yaadon se aksar haath mila lena..
Ankhon ke raste behte ansu se dil ka haal suna dena..
Shabdo ki maala ko bunkar naye saaz pe gaa dena..
Sab hota hai aksar aisa hi, jab dil kahin fir rota hai..
Yun to badh jana asaan hain aage..
Kuch yaadon ka hi to mela hain..
Har raat chand ki ankhon se taktaki baandhte katati hai..
Toote sapno ki ek botal kaanch si ban ke chubti hai..
Dhokhe sa hi uska saya, par usspar wo mujhko dikhti hai.
Dard ki naav mein tair ke uss kinare wo mujhko milti hai..
Yun yaadon se bhi kya mooh modein..
Yadon ki hi to ab basti hai.
Yun badh jaana asaan hain aksar..
Kuch yaadon ka hi to mela hai..
Par fir kuch soch ke ruk jaata hu..
Apne gum ko gale lagata hu..
Jo toot gyi to jodna kya..
Jindagi kya itni sasti hai?
Mana kuch yaadon ka to mela hai..
Yun badh jana asaan sa hai..
Jo ruka raha uski chahat mein..
Ishq ki bhi apni hi masti hai..
Voiced Rendition @ :