yeh qalam dard se zinda hota hai.
dunya me hazaro qalam hain,siyaahi ka samundar hai lekan aik qalam ki jaan wo siyaahi banti hai jis me soz ho jis me dard ho,jis me tarap ho.
qalam ko jaan dena wali siyahi ka aik qatra us samandar ki pehchan hai.....baaaqi samundar apni wus'at pe naaz karay,lekan haqeeqat me wo bekaar hai,asal fakhar to us samandar k aik qatre ko haasil hota hai.
par yeh qatra dhoondna parta hai,qalam se pehle dil ko dard milna laazim hai tabhi qalam or siyahi ka milan hoga ,siyaahi qalam ko jaan degi or tabhi lafzo me taseer hoga.tabhi lafz cheekh cheekh k apna aap btain gay or tabhi sahib -e-qalam sahib-e-sab-jahan hoga..

Sign In to know Author