Ajj Gali ke bacho ko khelte dekha,
Toh kuch yaad sa aaya,
Masum sa tha insme ek bacha,
woh kha bhag aaya.
Hasta woh din bhar tha,
Magar rota bhi dil khol ke,
Darta tha woh sab se,
Par karta apne dil ki tha.
Milne par naye logo se,
thoda khabrata;
Magar kuch hi palo meh,
unka hi hojata.
Dekhta tha jab koi paed naya,
jhat se chadd jata.
Ajj samne wale us ghar meh,
Ek naujawan sa ladka rehta hai,
Logo se toh bahut milta hai,
Par unka hone se darta hai
Ladta hai bahut logo se,
Har samay meh-meh karta hai,
Jane kya bachana h Usko,
Jane kya khone se darta hai.
Sota h din bhar,
Par sapne dekhne se darta hai,
Muskurane ki koshish toh bahut karta hai,
Magar har pal,
andar kuch marta hai.
Bhul gaya h yeh,
Uss bache ko,
Jo har sube paeda hota,
Aur har syam mar jata tha...