bht hogayi zulm ki daastanain raqam
bht rulaya,bht kiye tu ne humpe sitam

ab waqt hai k hoga mehtab apne hatho me
manzil k su raah me bichain gay najam

ashk itne bahay k ankh be-ashk hai ab
or na bahaingy ashk,maangay na reham

mere he gulo gulzar se tjhe the mehak muyasir
ujaa rne ko phir bhe chalta tu mere chaman?

or mat rakh chehre do do tu ae jaabir
nahi tere jhootay chehre main asal dafan

azaad hain chaahain hazar bediyaan daal tu
yeh qaid he apni banegi ab tera kafan

ab noor-e-subh laazim k hum munkr huwe raat k
ab taqdeer hai badalne ko,dil phirse hoga roshan....

Sign In to know Author