bhor sey pehley andhera
jab jago tab sawera
yeh duniya rain basera
hai tumhara hee sahara

aakash ki in unchaiyon mein
behta lahu in dhamniyon mein
karta rehta bas ek pukaar
sanwaar do yeh ghar sansaar


andhkaar kyun khaamosh hai
gagan kyun itna shaant hai
chiriyon ko bhi raat ka sukoon hai
bhor ki roshni ka junoon hai

kehti kya hai chand ki sheetalta
uskey paas nahi hai taaron ki chapalta
peron par chhayi hai jo maaadakta
manushya ussey nahi reh sakta achoota

subah key ujaaley ka intzaar hai
pal pal ka swapn gulzaar hai
karwatein badaltey sirahney tatoltey
sannatey mein ujaaley ko taaktey

in kaali syah raaton ka hai kya rahasya
gum ho ya khushi manushya dekhta swapn hai awashya
fir angraiyon key saath unko kar leta hai alag
ujaaley key intzaar mein andherey mein gum jata hai jag

Dil mein kaisi aandhiyan umri padin
Roshni ki raah dekhtey beetti hai ghadi
andhera man sey bhagana hoga
nai bhor ka swagat karna hoga

Sign In to know Author