Ghazab ki baat keh di ajab k andaz se
Tu mera na main tera sach yhi aghaaz se

chal pari hai rasm-e-bhagawat yun
K saazinda he bhaagi h apne saaz se

jab ki khamoshi akhtiyar saamne zaalim k
Sharminda sa hogaya hu ab apni awaaz se

Rehbar kamraan hgya , rehbari mangy waly reh gye
sawal kia jab hoslay ka, rehbar ne mahaaz se

ayaan ab horahi phir se zindagi aahista aahista..
taaluq tor diya hai haq ne bhe ab RAAZ se.

dekho yeh bhe qanun ab k zamanay me
haqeeqat dab rahi hai ikhlaqan majaz se

khud tashreef farma hain rahat talab ho k
darkhwast krte hain sitam ko rehm krni ki ijaaz se ...

nahi ab rona aata is logo k hujum par
samjhanay kia bethu ahmeko ko jawaz se....

Sign In to know Author