Dhimi aanch par tapakar, jalaya hai mujhe
Thandi rakh sa bujhakar, bahaya hai mujhe
Insaan na samjha, samjha kuda kagaz
Thokaro mein apni sajaya hai mujhe

Pitaa ko gale se lagakar aai thi
Aasuon se daman bhigokar aai thi
Maa ki duaa thi sada khush rehna
Tum sang Zindagi bitane mein aai thi

Taaro ke barabar sapne sajaye the
Sasural ke aangan me unko lagaye the
Sanskar or adarsho ko sang apne lekar
Ghar se door naya ghar banane mein aai thi

Kaanch ke tukdo se toote mere sapney
Dahej ke lalach me doobey mere apne
1-1 kar har maang ko chukaya
Lalach ka phir bhi ye ghada bhar na paya

Maa banne ka mila aashirwad
Beti ke aane se badha parivaar
Lalach bete ka unko fir kyu aaya
Mene beti ka chehra bhi na dekh paya

Padhai ki mehnat meri rang laai thi
Usi ki badolat naukari mene paai thi
4 diwaro me band kar naukaro sa sulook kia
Na daya aai unko aisa mera upyoog kia

Aasu ki nadi bahayi, man mera sookh gaya
Badan par lakeerein paayi, dard mera door gaya
Kaapa sharir mera rooh bhi kaap uthi
Markar jiya hai mene, jeene ki yeh raah chuti

Dhimi aanch par tapakar, jalaya hai mujhe
Thandi raakh sa bujhakar, bahaya hai mujhe
Insaan na samjha, samjha kooda kaagaz
Thokaro mein apni sajaya hai mujhe

Dhimi aanch par mujhe tapana na tha
Thandi raakh sa mujhe bujhana na tha
Insaan thi mein, insaan to samajhtey
Beti ko yoon tumhe jalana na tha

Swarg hota ghar tumhari, betiyoon ki izzat jo karte
Betiyoon se hi kal hai, itni samajh to rakhte
Kuyan khodoge to use paani hi paaoge
Apnakar mujhe apna maan kar to dekhte…..

-ABHI

Sign In to know Author