Li'l random, but based on personal experience ....
Khud apni aankhon se dekha tha use,
isi mej par karahati,
naino se neer bahati,
lahooluhaan dard me doobi,
wo, kai auro ki kahani thi bayan karti.
poochha jab maine kya hua?
boli, hua kya didi, kuch nahi,
bas yahi kismat hai meri,
roz roz ki is maut se,
sada ki chuppi hi achchhi.
samjha use shant karaya,
zindagi anmol hai use samjhaya,
fir bhi boli,aisi zindagi kis kaam ki??
mujhe jo mili hai, hai bas naam ki..
aadmi jise devta samjhi thi,
wah to jaanwaron se bhi bura hai,
meri tarah meri teen betiyon ko bhi usne..
rassiyon se jakda hua hai,
najuk dor hai, pata nahi kab toot jayegi..
ab to maut pakar hi mujhe shanti aayegi..
shukr hai bagwaan ka beta nahi janma.
agar aisa haiwan hota hai beta to meri kokh bin bete ke bhali...
kuch baandhe rakha hai to bas,
in teeno ke pyaar ne,
inke sajal nayan, inki muskaan ne..
chali jaoongi inhein lekar door kahin,
zindagi tab shayad hogi bhali..
aankhein meri aansuon se bhari,
rukne ka naam nahi le rahi.
har kisi ko beta chahiye,
koi bataye beti mein kya hai kami......