Dhun alag,sur alag,
Gaate chale hum apne andaaz me..
Itni saari jaldhaara dekh,
Beh chale majhdhaar me.
Rang alag,bhesh alag,
Utsav alag manaate hum saath me..
Itni saari jaldhaara dekh,
Beh chale majhdhaar me.
Bhasha ki anekta ko peeche chhod,
Dharm ki vividhta ko hatate huye,
Haath pakad chale saath me..
Itni saari jaldhaara dekh,
Beh chale majhdhaar me.
Dange phasaad hote hain yahan,
Par phir bhi aman-chain ki aas me..
Itni saari jaldhaara dekh,
Beh chale majhdhaar me.
Unch-neech ka bhed-bhav bhul,
Badh chale pragati ki raah me..
Itni saari jaldhaara dekh,
Beh chale majhdhaar me.
Dushmani se dur aur dosti me aage,
Har desh k liye izzat hai dil me..
Itni saari jaldhaara dekh,
Beh chale majhdhaar me.
Jodo apni haath,kholo apni aankhein yaaron,
Bharat maa ki sanmaan me..
Issi jazbe ko dil me samaaye,
Beh chale majhdhaar me. . . !