Bas 10 din hi to badi thi na wo mujhse. Fir bhi na jaane kyu, aise baat karti thi jaise amma ho meri. 15 saal ke the jab pehli baar mile the. Tab pucha tha usne, birthday kab aata h tumhara. 19th march sunte hi pucha "aur year"? "1992", maine kaha. Ye sunte hi itni khush ho gyi wo aur boli, dekh le ab, badi hu main tujhse, saari baatein maanni padengi meri." Thik h," maine bhi hanste hue bol diya.
"Main badi hu na tujhse." Yahi dialog maar deti thi jab bhi koi baat manwaani hoti thi use aur main bhi chup chap uski har baat maan jata tha.
"Maine bola na mere saath baith. Badi hu na tujhse, chup chap baat maan le meri." Yahi kaha tha jab use tuition me mere sath baithna tha. Man to mera bhi bahut tha aur shayad use bhi pata tha ye aur ye bhi pata tha ki kabhi himmat nhi hogi ye bolne ki mujhme, tabhi to usne bola tha ye. Bas us din se hum hamesha saath hi rehte the tuition me, aur bas use hi dekhta rehta tha main aur wo bhi smile karti rehti thi, kyunki use bhi pata tha, bas bolti nahi thi wo.
Fir ek hafte baad kehne lagi, "Bol diyo apni mummy ko. Aapko pareshan hone ki jarurat nhi h. M aa jaunga kal se Prerana ke sath."Maine pucha kyu, to jawaab mila " Kyunki m bol rhi hu. Badi hu na tujhse. Jyada sawaal jawab mat kar. Aur maine bhi bol diya ghar jake mummy ko, "kal se apne aap aa jaunga tuition se. Mujhe lene mat aana."
"Kiss kar mujhe." Sunte hi chaunk gaya main. Maine pucha main kaise kiss kar sakta hu tumhe. Hum to dost hain na sirf. "Arey, ek baar bol diya na Maine. Bhul gya kya, badi hu na tujhse. Har baat maani h tujhe meri. Aur bas fir, us din pehli baar kiss kiya Kisi ko. Shayad wo meri zindagi ka sabse zyada khushi wala pal tha.
Bahut pyaar karta tha usse par kabhi keh na saka. Wo bhi jaanti thi shayad ye baat. Jab sab kuch pata hota tha to ye kaise nahin hota. Par fir bhi har baar kehti thi mujhse, "Prince, kahin mujhse pyaar to nahin ho jayega na tujhe?" shayad darti thi aane wale kal se. Ye bhi jaanti thi wo ki kabhi na nhi keh sakta tha use. Isiliye to bada hone ka itna raub dikhati thi.
"Prince main tujhe ek dost ki tarah bahut pyaar karti hu. Par isse jyaada kuch nhi ho sakta hamare beech." Ek din ye bhi kaha usne. Ye sunke aise laga jaise dil ki dhadkan ruk gyi ho. Par fir bhi kahin na kahi, m bhi jaanta tha ki kitna pyaar karti h wo mujhse, chahe dost ki tarah hi sahi. Soch liya tha maine us din, bas use khush rakhna h. Zindagi me bas yahi ek maksad h.
Fir ek din use ladke wale dekhne aaye. Pasand aa gyi unhe wo. Aani hi thi. Koi andha hi hoga jise nhi aayegi. Andha bhi nhi, use to behra bhi hona padega. Uski aawaj sunke to sab kuch bhool jata tha main. Usne bhi pasand kar liya ladke ko. Sach me pasand aaya ya use pata tha chalni to uske gharwalon ki h, ye soch kar haan kar di usne, ye to pata nhi. Mujhe kuch batati bhi to kahan thi wo. Par kya main use itna bhi nahin jaanta tha ki uski aankhon me dekh kar bata saku ki kya chahti thi wo. Apna bhondu keh ke bulati thi wo mujhe. Par shayad main sach me hi itna bewakoof tha ki nahin samajh pata tha.
Fir ek din shaadi ki date fix ho gyi. Jab usne bataya mujhe to main rok hi nhi paya khud ko rone se. Itna roya us din. Pehli baar usse kaha ki main nhi chahta ki tum kisi aur ke sath hamesha ke liye chali jao. "Main kahin nhi ja rhi pagal. Hum hamesha dost rahenge. Tujhe chod ke kahan jaungi main." Ye bolte waqt uski aankhon me bhi aansu the. "Ab rona band kar. Baat maan le meri. Badi hu tujhse main. Tujhe bahut acchi ladki milegi. Mujhse bhi Sundar". Par use bhi kya pata tha, meri liye to wo duniya ki sabse Sundar ladki thi. Fir bhi uski baat maan kar rona band kar diya maine. Par dil to ab bhi to rha tha. Meri Prerana mujhse door jane wali thi. Ye kaise bardaasht hota mujhse.
Fir ek din shaadi bhi ho gyi uski. Bahut Sundar lag rhi thi. Par us din wo duniya ki sabse Sundar ladki nahi lag rahi thi. Shayad isliye kyunki wo khush nahin thi us din. Uski aankhon me wo spark nhi tha jo hamesha hota tha aur uske hothon pe wo smile nahin thi jise dekhkar "a little bit of heaven" wali feel aati thi. Vidai ke waqt boli, ab tu bhi shaadi kar lena. Maine kaha main nahi kar rha kisi se shadi. "Badi hu na main tujhse. Bol rhi hu na. Itni bhi nahin manega meri?" Apni baat puri kiye bina hi mujhse gale lagne foot foot ke rone lagi. Mujhe aisa lag raha tha jaise abhi marne wala hu m." Thik h. Jaise tum chahogi, waise hi karunga." Bas itna hi bol paya.
Shadi bhi kar li. Par shayad use kabhi bhool nahin paya. 10 saal baad jab wo milne aayi tab main hospital bed pe tha, apni aakhiri saansein gin raha tha.Maine badi mushkil se kaha "Jhooth bola tumne. Tumne kaha tha kabhi nahin jaogi mujhe chhodke." Usne mera haath pakad kar bas itna kaha "Dekh main badi hu na tujhse. Meri har baat maanni hogi tujhe. Chup chap thik ho ja nahin to baat nahi karungi kabhi bhi. " Ye sunte hi rone laga main. Shayad hum dono hi to rahe the. Kaash uski ye baat maanna bhi mere bas me hota to ye bhi maan leta. Haar baat to maanta aaya hu uski. Ab kaise nhi maanta. Yahi sochte sochte pata hi nahin chala kab is duniya se chala gaya main.