Badiyon me mai bhi bhawron ke sang ghuma karta tha
Sang sawan ke rimjhim barsaton me mai bhi jhuma karta tha
Baharon me mast fizawon me kabhi roya to kabhi hansa karta tha
Jindgi kisi ke naam karne ka ek dhundhla sa khwab buna karta tha
Wo pal bhi aaya paas humare jab ek hasin nigahen mujhe raton me jagaya karta tha
Par samajh na paye hum waqt ke un isharon ko ki kyun un dino hume nind kam aaya karta tha
Didar ko unke aankhen tarasti thi tanhayion me dil mera aahen bhi bhara karta tha
Wafa ko jarurat nahi izhare juban ki kal talak mai bhi yahi samjha karta tha
Hogi unhe bhi ehsas humari tarap ki pahuchegi mohabbat meri unke dil tak yahi socha karta tha
Jina sikhaya banjron me bhi hans ke usne mujhe jis waqt mai dard-o-gum ke aagosh me baith roya karta tha
Mangna hume aata nahi aur chhinna kabhi sikha na tha
Na ho aankhe nam unki jise harpal-har lamha hanste dekhne ko mai chahat rakha karta tha
Palu jo unke dard aur aansu khud pe khuda ki meherbani samajhenge jiski ek jhalak muskan ko mai khud ko lutane tak ko taiyar rakha karta tha.....!