Main ek bachpan hun, ek bhola bhala bachpan,
Na jati ka bodh hai mujhe, na kal ki chinta,
Na dukh ki khabar hai mujhe, na sukh ki parwah,
Main to bas ek bachpan hun, ek bhola bhala bachpan.
Ek din mujhe abhas karaya gya meri gareebi ka,
Mere sapno ko ek pinjda sa mila, meri badnaseebi ka,
Mere arman, mere khel, sab cheen liye gye,
Kitabon aur school ke to avshesh tak ben liye gye.
Baste ki jagah khud ko paya, ek bore ke sath,
Kachde aur gandgi me jaise dhanse the mere hanth,
Bas fir jindgi ki ek nyi si kahani shuru ho gyi,
Aur ansuon se lipti ek jindgani shuru ho gyi.
Per maine fir se hansna seekha, jindgi se ladna seekha,
Panniyon aur kanchon se apni yaari hui,
Kabhi tyre ki race to kabhi thele ki sawari hui,
Jaise maine fir se, jindgi me jeena sekha.
Per ye kya., kismat me to kuch aur hi likha tha,
Meri khushiyan lootne jaise sara jahan khada tha,
Ek roj mere pair aa gye kisi gadi ki chapet me,
Mere sapne aise toote, jaise ghar hon ret me.
Fir maine baisakhi se chalna sekha, mushkilo se ladna sekha,
Per toote sapno ki kasak chubti si hai is dil me,
Khud ko akela sa pata hun main bhari mehfil me,
Kate pair, fate kapde aur toote sapne,
Is jahan me ab ye hi bache hain apne,
Kisi roj jo pyar se sir pe hanth rakhe,
Us farishte ko aaj bhi dhoondhta hun main,
Yun to bhola bhala bachpan hun per
Aaj bhi us bachpan ko dhoondhta hun main……
I think it has a really deep meaning