Bachpan
Bachpan ki un sakri galiyon mein,
Parchaiyan ab bhi kuch dhundhli si hai
Yaadon ke un mohallo ki khidkiyan,
Ab bhi kuch khuli si hai
Dadi- Nani ke yaha garmiyo ke din,
Un dino ki mastiyan ab bhi kuch khili si hai
Raat ko khule aasman ke niche sona,
Un taro ki ginti ab bhi kuch bachi si hai
Dadi ki maar se bachna,
Us maar me ab bhi kuch narmi si hai
Papa ka gusse se chillana,
Us daat me ab bhi kuch tharthari si hai
Dudh na pine ke bahano mein ab bhi,
Mummy ke samne kuch kami si hai
Dinbhar ki luka- chupi ke baad,
Nani ki kahaniya ab bhi kuch adhuri si hai
Ek katori mein maggi khana,
Aakhiri kor ke liye ladai ab kuch thami si hai
Bhai- behen se jhagde to bahot huye,
Jhagdo ke baad ki chugliyan ab kuch ruki si hai
Dosto se choti- choti baton par ruth jana,
Us roothne mein ab bhi kuch zid si hai
Jhagadkar fir unko manana,
Us manane mein ab bhi kuch masumiyat si hai
Dhundhli si un parchaiyon mein,
Aaj ki tasveer kuch chupi si hai
Yaadon ke un mohallo se guzarkar,
Aakhon mein ab kuch nami si hai
Bachpan ki un sakri galiyon mein,
Parchaiyan ab bhi kuch dhundhli si hai
Yaadon ke un mohallo ki khidkiyan,
Ab bhi kuch khuli si hai….
Abhi