Jo aaya, wo gaya,
reh gaya kuchh darmyaan,
aur hum khaamosh rahe,

nikli meyaan se talwar, chali, kati,
tukre hua dil, aarzu miti,
aur hum khaamosh rahe,

sir par khaak liye, khaak hue,
jal gaye pairehen, pee liye dhuen,
aur hum khaamosh rahe,

shor me dabi aawaaz meri, sannato ki cheekh me,
kaampte hotho, larazti be-zubaani me,
hum khaamosh rahe

ye bolti khaamoshi, ab sun ke kya karega,
jo beet gaya so baat gayi, marr gaya, ab kya marega,
wo toot gaya, ek waar se, tum mat ho bekaraar se,
khaamoshi ekhteyaar kar, na ro waqt ki maar se,

waqt badalta hai, khaamoshi phir bolegi,
dil me ghutte raaz, kaheen aur se kholegi,
jalte hain be-shikaayat hum, tumhaare hi liye,
bas yahee soch kar hoth muskura diye,

aur hum khaamosh rahe

Sign In to know Author