Kya suna tumne aaj uss masum ki cheekhon ko
Kya kiya tumne andekha kisi bebas ki pareshani ko
Kya kiya tumne aaj khud se wohi wada, aaj bhi chup rehne ka
Kya thhana apne mann mein, apne matlab ke liye jeene ka
Kya matlab hai mera usse
Kaun lagta hai wo masum bacha mera
Agar dhup mein khada phul bech raha hai
Duniya daari apne maathe baithaye, dikhta kahan hai wo masum utna
Apni gaadi main kyu rokun,
Ek vridha guhaar lagaye hai,
Beech sadak bin laathi ke,
kya soch kar aayi hai
Ek Andheri raat mein,
Uss ladki ki cheekh kyu sunun
Andhere baad nikalna usne socha
Ab anjaam uska to wo hi bhugte, der raat nikalna usne chuna
Kabhi mere haathon hui nahi koi galti
Kabhi thaane pohocha nahi
Kisi aur ke liye wahan jaun
Nahi nahi aur kabhi nahi
Bekaar ki jhanjhat kaun hai pale
Aise hi zindagi deti nahi hai kasht kam
Samaj ka bhala dusra hi kare
Bhoge baithe aaram kursi pe bus hum
Subah subah akhbar ke saath
Mukh banake brashtachar ki shikayat karein
Usi dopahar no entry mein ghusne ki wajah se
Police wale ki jeb bharein
Humari ek anjani si bhul ki keemat chukana
Bhaari bada lagta hai
Uss bhul ko chota thehrake
Mann saaf karne mein sabki bhalayi lagti hai
Kis Sarkar ko dosh diye ho
Bharsht samaj kise kahe ho
Awaz lagane ki baari jab aaye
Chup chap ghar mein tum aade ho
Jago aiy insaan ab to jaago
Karo faisla apne kal ka
Samaj agar nahi pasand hai tumko
Use badalne mein saath do baaki sab ka.