Apne hi ghar se juda sa hoon
Koi doosra aashiyan bhi nahin milta

Deewaron se rishte bhi toot gaye hain
Deewar sa wo rishta bhi toot gaya

Hai pashemaa zindagi ke wo palchhin
Phool jinpe ab jazbaaton ka nahi khilta

Hain apne yahaan phir bhi apno ki talaash hai
Door door tak par koi apna nahin dikhta

Bazaar mein keemat lag gayi hai rishton ki
Dil magar yunhi sarebazaar nahin bikta

Kuch chehre jaanta hoon, apne se jo lagte hain
Gham bas yehi hai koi sadiyon tak nahin tikta

Sign In to know Author