Andhere mein neem ujala,
Aur ujaale mein baadalon ka chhaana..
Dono mein hai vipreet ka prabhaav..
Par hai ek asha, doosra nirasha ka prateek..
Kisne banaya andhere ko bura?
Kisne kaha ujaala paavan hai?
Kyun hai safed shanti ka prateek?
Kya isliye ki kaalepan mein saans ghut-ti hai?
Kyun hai ujaala pragati ka chinh?
Kya isliye ki andhere mein rukaavatein zaada hain?
"Yeh ki ujaale mein sab thik se nazar aata hai?
Ya yeh ki andhere mein kuchh bhi saaf-saaf nahi dikhta?"
Haan yahi, bas yahi toh hai
Woh ek baat joh ek pal ko sochne pe majboor kar deti hai...
Ki waakai andhera achha hai ya ujaala!?
Sign In
to know Author
- ASTHA KHARE