Koi shayar ban jaate hain,
Koi tuntuna bajaate hain.
Koi rangon se khelte hain,
Aur chitrakaar ban jaate hain.
Unhe kuchh bhi maanya nahi hota,
Har riwaaz ko thukraate hain.
Har baat ka jawaab unke paas hota hai,
Woh har baat pe sawaal uthate hain.
Na jaane aise ulte log dunia me,
Paida hi kyun ho jaate hain.

Kabhi shoonya me dekhkar muskurate hain,
Toh kabhi bewajah zoron se khilkhilaate hain.
Kabhi bina kuchh bataye bas yunhi,
Uthkar kahin door chale jaate hain.
Jab dunia raat ko soti hai,
Woh apne charam pe hote hain.
Jab subah Sooraj ugta hai,
Woh tabhi ast hote hain!
Kabhi andhere me yunhi akele baithkar,
Woh apne aap se hi batiyaate hain.
Woh aam logo k bajaaye,
Jaanwaron, pagalon aur bachchon se zaada connect kar paate hain.
Bas koi innocent, pure-hearted mila,
Woh tabhi usi ke ho jaate hain.
Unhe roothne me bhi waqt aur wajah nahi lagti,
Kabhi bhi, kisi se bhi rooth jaate hain.
Konsi baat unko kab buri lag jaaye,
Yeh khud bhi nahi bata paate hain!
Woh gussa bhi toh nahi dikhaate hain,
Bas ekdam se chup chaap ho jaate hain.
Unki ajeeb si harkatein dekhkar,
Maa-baap, bhai-behen aur dost tension me aa jaate hain!
Na jaane aise ulte log dunia me,
Paida hi kyun ho jaate hain.

Koi unhe sarfira kehta hai,
Aur koi paagal samajhta hai.
Par dunia ki baaton se unhe bhi,
Kahan koi farak padhta hai! :D :D

Sign In to know Author