ae nazar, na zaya kar in motiyon ko
yaha har khushi daulat mein bikti hai
keemat pata nahi kisi armaano ke
mohabbat ab bas paison me dikhti hai

khareed liya humsafar,hume thukra kar
ab yahi manzar reh gaya tha baaki
hume bhi rahon ne mod diya us gali mein
ghum bhulaane ko do ghunt pila de ae saqi

aankhon ki barsaat se bheeg to gaye hain
par jal raha hai ye dard-e-dil andar hi
bas kuch aur waqt ki mohlat de de hume
ki bhool jaun uski tarah uska ghum bhi

Sign In to know Author