Lagkhada k gir jau
to raasta kahta hai
uth ! chalna abhi baaki hai

Dil toote aankhe nam ho jaye
to ek avaaz kaano me goonjti hai
ruko nhi ! daastan abhi baaki hai

me uthta hun fir badhta hu
aandhi tufaano se me fir ladta hu

kabhi aandhiyo ne rukaya
kabhi baarisho ne bhigaya
har kadam pe mere
raha mushkilo ka saanya

thak gya hu ab ladte ladte
thaharne ko ji karta hai
magar mera astitva
kai savaal khae krta hai

in savaalo ka jawaab
dhundna abhi baaki hai
chalna abhi baaki hai
ye dastaan abhi baaki hai

Sign In to know Author