Aaj aankhen fir nam hai,Dil shayad aaj fir roya hai..

Ek aansu tha in aankhon mein kuch der pehle,
Ab na jaane vo kahan kho gaya hai ,shayad beh gaya hoga banke pani,
Khair jaane do, aankhen abhi bhi nam hain,dusra bas abhi aata hi hoga,
Aakhir dil mein base sellab ko kabhi to umadna hi hoga,chalo aaj hi sahi

Aaj aankhen fir nam hai,Dil shayad aaj fir roya hai..

Vo kaunsa lamha tha jisme tumne alvida kaha, aaj bhi mujhe yaad nahi
Yaad hota to in aankhon mein aansu na hote,aur ye dil udaas na hota,
Khair samjha lenge is naadan ko to hum,
Par us bewafa se wafa ka karz to ise chukana hi hoga, ise aaj rona hi hoga

Aaj aankhen fir nam hai,Dil shayad aaj fir roya hai..

Sign In to know Author