(Extremely random, mostly senseless, almost rhymeless, definitely rhythmless, but still......)

Yakayak ek sawal
Rakha gaya mere aage
"Bata ae bande!
Teri aakhri raza kya hai?"
Chaunk ke maine
Khud hi se poochha
"Aakhri? Itni jaldi?
Ya allah! Meri sazaa kya hai?"


Bojhil sannaton ke palon mein
Man daud raha tha yahan wahan
Ki tabhi ek bar fir maine
Wahi sawal suna dobara...
"Bol ae bande! Kya hai jo,
Tu apne jiwan se chahta hai?
Palkein sada ko girane se pehle
Kis manzil tak chahta hai jana?"


Ek pal ko sab kuch tham gaya fir
Maine mud ke apni zindagi ko dekha
Nazar, akeli, arth-heen, be-maksad
Aur usi kshan nikla mooh se jawab
"Bahut si chhoti-chhoti cheezein...


Ek boond paani
Ek lamha pyar
Aur Ek katra vishwas


Ek pal ki shanti
Ek chain ki saans
Ghadi bhar ka saath
Ek shaant muskaan
Ek khushi ka daan
Ek gham ka nidan
Ek rasta anjaan
Ek...pehchaan."


Dheemi si muskaan ke sath
Mujhe diya gaya jawab...
"Chhoti chhoti cheezon mein ae bande
Tune maang liya sara jahaan!
Aj tak kyon nahi ki thi koshish
Ab tak soya tha kya, insaan?
Chal, jaa jee le kuch aur pal
Kar le poore apne armaan!"


Muthhi mein ek sagar thama ke
Mujhe mera rasta dikha ke
Dekar aur ek mauka, farishta woh mera
Gayab yoon hua, ki nazar bhi na aya...
Ek pal ko thamke, fir maine mudke
Muskarati zindagi apni se kaha
"Tune mujhe ek naam ek wajood diya tha kabhi
Aj tera karz utaarne ka samay hai aya!"

Sign In to know Author