Aaj kuchh khatam ho raha hai, ya fir koi nayi shuruwaat hai..
Kuchh toh hai aaj, aaj mann bohot udaas hai..
Aaj yaad aa rahe ho tum, roz se kahin zaada...
Aaj har cheez tumhaari yaad dilaa rahi hai...
Woh bhi, jisse hamara koi lamha nahi juda..
Pata nahi chala kab har cheez tumse jud gayi..
Tumse door jaate-jaate, har raah tumhari taraf mud gayi..
Har taraf tumhi nazar aa rahe ho, zindgi jaise isi lamhe pe aake ruk gai...
Joh waade khudse kiye the, joh bhi kasmein khai thin,
Iss ek lamhe me kisi cigarette ki tarah phuk gayi..
Har baar main yunhi bikharti hun, har baar fir ek ek tukda samet-ti hun..
Har baar dil zaar-zaar rota hai, har baar aankhein shoonya hoti hain...
Par main har baar waapas uth jaati hun, main har baar muskuraati hun..
Fir kuchh din jhhoothe dilaason ke sahaare nikal jaate hain..
Lekin fir, waapas wahin aa jaati hun..
Fir se bikharti hun, fir se samet-ti hun..
Har baar pehle se badtar, har baar pehle se zaada haarkar..
Apni aatmashakti ko khatm hote dekhti hun..
Iss baar lagta hai shayad aakhiri ho, koi ant ho ya koi nayi shuruwaat ho...
Mera toh jeevan usi lamhe pe thehra hua tha, khidki ke baahar dekha toh raat ho gayi thi...
Main ab bhi wahin khadi thi, Dunia bohot aage badh gayi thi..
Unki subah paas aa rahi thi, meri raat gehraati jaa rahi thi...
Shayad yeh lamha aakhiri lamha, yeh raat aakhiri raat hogi..
Shayad aaj main khatm ho jaaun, yeh raat khatm nahi hogi..