Na koi shikwa Na koi shikayat
Ab tujhse na koi ummed na koi chahat
Aaj fanaa krti hoon tujhe is rishtey se
Aaj bana deti hoon tujhe ajnabee phr se

Duniya ki karwayi is shaadi ko
maine rishta aur tumne bandhan samjha
Tujhse bina pooche hi maine dil kya, apni ruh tak jod li
Par tu kya chahta tha ye to kbhi poocha hi nhn tha

Tu asmaan mn udne waali panchi ki tarah hai...
jo kisi aur ki ummedon k pinjre mn rehna hi nhn chahta...
tu tez hawa ki tarah hai
jo kisi ka intezaar nhn chahta..

Ab se na armaano ka bojh hga..na ummedon ka koi door hga
Ab na intezaar hga..na aitbaar hga
Na mohabbat hgi na dushmani hgi
kynki ab Saath to hga par koi ehsaas na hga

Duniya se ladne ki himmat nhn hai
jo uske bnaye is bandhan ko main tod loon..
par khud se ladne ki hai...
jo khud se bnaye ektarfe rishte ko todti hoon...
aaj se sb sahi hga kyunki ab mere liye
tu wapas ajnabee hga

Sign In to know Author