Paana bahut kuch chahta hoon magar
Bas aaj khud ko kahin khone do
Karne ko baatein hain bahut magar
Bas aaj mujhe chup hone do
Jhinjhod diya hai zindagi ne aaj itna
Ye toofan shaant to hone do
Apne hi jiwan ki raahon mein kaante
Apne hi haathon fir bone do
Fir se bachpan jeena hai mujh ko
Koi mere woh toote khilone do
Toote hue khwabon ko sametoon to kaise
Mujhe naye kuch swapan salone do
Pyar to khud se bahut kiya hai
Aj khud se nafrat bhi hone do
Insaan tha shayad, ye kya ban gaya
Kuch der iska ehsaas to hone dos
sapne dekhne hain fir se mujhe
Kuch der ke liye bas sone do
Jeena main bhi chahta hoon shayad
Aaj magar mujhe rone do... .....

Sign In to know Author