aaj ek bacche ne hamse poocha aisa kya hota hai jo aksar waqt k sath badal jata hai....
hum is kashmakash me pad gaye mausam kahe ya rishte....
aaj ek bacche ne hamse poocha ki ye akelapan kya hota hai ?
hum fir soch me pad gaye ki use kahe ye dard hota hai tanhai ka ya tanhai hoti hai kisi dard ki.
aaj ek bacche ne hamse poocha ki ye haar kya hoti hai ?
hum apne hi sawalo me ulajh gaye ki kisi ko pa nhi sakna haar hai ya kisi ko paa kar kho dena haar hai...
aaj ek bacche ne hamse poocha ye aasu kyu aate hai...
man me ye socha hamne ise kahe ki kisi ke jane se aate hai ya kisi ko apne bina khush dekh kar aate hai.....
aaj ek bacche ne hamse ye bhi poocha ki kya hum tumhe jaante hai ?
hazaro yado ne, hazaro sawalo ne aake gher liya hume....
vo dil par jo chot thi jise ham chupaye firte the vo thodi aur gheri si hogai...
aakh se hamari ek aur boond chalak hi jati ki yaad aaya, kasam di thi apne aap ko
ki tumpar nhi royenge ab kabhi...
apne dil ke toot kar bikhare hue hisso ko sameta hamne
aakho ke gum ko hotho ki muskurahat se dhak kar bas char shabd bol paye us nadaan ko
"hum jana karte the"....
Tags:
Sign In
to know Author
- SHWETA UMRE