aaj bhi us raat ki sihran yaad hai mujhe..
chaand ki sunahari roshni mein bheega hua jab dekha tha tujhe..
tu band aankhon se ghur rahi thi mujhe hansta hua dekh kar..
woh hansi toh sirf ehsaas tha tere saath hone par..
tu neend ke swarg-lok mein apsarayon ko dekh rahi thi..
main tujhe dekh yaad kar raha tha har baat jo tune kahi thi..
mann tarang-may tha aur hillore uth rahe the kahin..
saath sapno ki duniya mein chal toh leta par mann bandha tha wahin..
woh raat ruk jati kuch raat aur toh kya hi hota..
jagta hi rahta main fir umar bhar na sota..
ek pal toh laga ye neend hai, khwaab hai, haqeeqat nahi..
par fir teri karvat ne sapno ke sapno se jagaya aur laga ye hi hai sahi..
ghadi ki suiyon ko dekhta aur fir chand se karta gujarish tham ja kuch der toh..
darr tha is baat ka beet gayi toh na raat aayegi na hi aayegi woh..
aaj bhi us raat ka sach sapno mein mere dhundhla2 dikhayi deta hai..
aaj bhi us raat ki khamoshi se gungunata jugnu sunayi deta hai..
aaj bhi us raat ko tere chehre se bahta noor dil mein hulchul karta rahta hai..
aaj bhi us raat ko bina kuch kahe jo kah gaya tha main tujhse woh sun sake tu ek din dil mera yahi kahta hai..