Bikhre panno ko beenker aaj sametna chaha
Saleeke se lagage unme chipi yado ko jeena chaha
Per waqt ki dhool se wo alfaaz mit se gye hain
Rishto ki wo midhas, wo khoobsorat jajbat ab simat se gye hain
Ret me pade paao ki nishan k paas jaker
Aaj usme apna paon fir se fansaker
Fir us nishan ko gehra banana chaha
Fir us kho chuke jahan ki meethi yado se
Fir un khamoshiyon me hoti bejuban bato se
Khud ka toota hua rishta fir se jatana chaha
Aaj maine apne veeran jahan ko fir sajana chaha
Per ab koi awaj nhi ati is sannate ko jo tod de
Koi nishan nhi milta jo mere kadmo ko mod de
Door hoke har shaks, har jasbat se jaa rha hun
Bas toota hua ek rishta khud se hi nibha rha hun
Is safar pe sath de rhi hawao ko, mere baat sunti in ghatao ko
Sath apne kuch aur door tak le jana chaha
In bejuban dosto se hi shi, ek rishta banana chaha
Aj jeene ki chahat me, nam ankho se ki ibadat me
Khud ke wajood ko pehchanna chaha
Aaj maine apne khoye jahan ki yado ko sawarna chaha….

Sign In to know Author