The boy studied in school loved a girl very much.He always tried to keep her happy and tried to help her without letting her know that it was him. But soon he had to leave that place as he was transferred.

Usne apne feelings ke baare mein usko kabhi nahi pata chalne diya. Jab uske jaane ka din aaya toh usne bhagwaan se pray kia ki usko bas ek byaar uske pyaar ka chehra dekhkar usko dil mein basaana hai. Jaate samay usne usko dekh liya aur bhagwaan ko bahut thanks bola.

3 saal guzar gaye aur woh ladka school se pass out ho gaya. Woh hamesha poora din usi ke baare mein sochta rehta tha par usne usko kabhi nahi bola tha kyunki woh ek simple ladki thi aur use ye bhi lagta tha ki pyaar karne ki yeh umar nahi haipar use pyaar ho gaya tha. Uske paas uska phone number bhi tha.

Ek subah usne socha ki woh us ladki ko sab kuch bata dega kyunki itne saalon se uski zindagi ek hi jagah par thehri hui thi aur woh chahta tha ki woh aage badhe. Use lagta tha ki agar us ladki ne "haan" bola toh uski zindagi sabse badi khushi hogi aur agar usne "nahi" bola toh woh zindagi mein aage badh jaayega.

Par usko iska bhi darr tha ki agar usne us ladki ko yeh sab bata diya toh woh shaayad hamesha isi ke baare mein sochti rahegi aur yeh uske life ko affect karega......

The boy was in confusion. So can u all pls help that boy to come out of the confusion. Kya use bolna chahiye ya nahi? Aur agar toh kya aur kaise bolna chahiye??????

Pls help that boy.....

Sign In to know Author