Woh chaand pehle saaf tha... nirmal, swachchha, woh tha dhawal.
Bas ishq jab usko hua, ek raat me sab gaya badal.
Agli subah hi uspe ek ghaav tha, ekdam hara.
Bas din guzarte gaye aur woh daag ban gaya
Fir ishq hua, fir ghaav hua,
Fir kuchh dino me, ek naya daag ban gaya.
Aur yunhi umra guzarte-guzarte,
Woh khud ko daagon se gaya bharte.
Aur ab yeh aalam hai ki chaand dikhta hi nahi.
Jab nazaron ka kaafila uthta hai, toh uspe tikta hi nahi.
Ab sirf daag dikhte hain, kuchh aur dikhta hi nahi
Kabhi shayari, kabhhi ghazal hoti thi kabhi us chaand pe,
Ab koi do lafz bhi uspe likhta hi nahi.
Surf Excel wale kehte hain daag achhe hain!?
Koi unse kuchh kehta kyun nahi ! :/
Sign In
to know Author
- ASTHA KHARE