my confession pages
32 years old, Male, Karachi, Pakistan
Mera dard naghma-e-be sada
Meri zaat zarra-e-benishaN
Meray dard ko jo zabaN milay
Mujhe apna nam-o-nishaN mile
Meri zaat ka jo nishan milay
Mujhe raz-e-nazm-e-jahan mile
Jo mujhe ye raz-e-nihaN mile
Meri khamoshi ko bayaN mile
Mujhe kainat ki sarwarii
Mujhe dolat-e-do jahaN mile
My sorrow is song of no voice
My self is grain of no sign
(but) if my sorrow finds a cry
I find my (own) name and light
only If i am able to comprehend my own existence
I can find secret of core of cosmos
(and) if I find that open secret
My silence finds (its) narration
I get kingship of universe
I find treasure of both worlds
Faiz
easy decisions are the most difficult actions to be made...
ae dard bta kuch tu hi bta
ab tak yeh moamma hal na hua
hum mein hai dil e betaab nihaan
ya ap dil e betaab hain hum
dhoondo ge agar mulkon mulkon
milnay k nahin Nayaab hain hum
mein hairat o hasrat ka maara
khamosh khara hun saahil par
darya e mohabbat kehta hai
aa kuch bhe nhi paayaab hain hum...
dhoondo ge agar mulkon mulkon
milnay k nahin Nayaab hain hum
lakhon hi musaafir chaltay hain
manzil tak pohanchtay hain doa ik
ae ehl e zamaana qadar karo...
nayaab na hon kamyaab hain hum...
murghan e qafs ko phoolon ne
ae shaad yeh kehla bheja hai
aa jao jo tum ko aana ho
aisay mein abhi shaadaab hain hain hum
tabeer hai jiski hasrat o gham
ae humnafaso woh khwaab hain hum
dhoondo ge agar mulkon mulkon
milnay k nahin nayaab hain hum
how i view myself??? none other than e myself can percieve I the way I do... my core reality... my capacity... my weaknesses... it was my fault that i kept viewing myself as an image poeple created... the larger than life size image... its broken.. its shattered now... the expectations ppl had with me... slowly seeped into my mind camouflaged as my own... so now i dont know how to meet my own expectation that i hav developed eventually...
Mein bhatak Gya hun meray Khuda!
Khud hi apni zaat ki uljhon mein uljh gya hun ae Rehnuma!
Kbhi hasraton kbhi khwahishon kbhi zulmatoan ki bisaat par!
Mein khudi ko khud se hara chuka!
Woh jo meri zeest ka noor tha!
Jo sukhanwari ka ghuroor tha!
usay apni zaat ki pastiyon kbhi laghzishon mein luta chuka!
Mein ne dil se tujhko bhula dia!
Woh jo naaz tha woh ganwa dia!
Ae Maalik e Mulk o Makaan!
Mein teri Ata na nibha saka!
Woh qalam jo hamd kaha kray,
teri rifatoan ki sana kray!
usay lahv o laab se bhar dia!
Teray moajza e sukhan ko ahhh!
yun siyaahion se tar kia!
Khatawaar hun gunhegaar hun,
mein nhi hun momin e zeeqadar!
Meray Mohsin o Ghamkhaar Rab !
Nahin koi teray siwa magar!
Jo Siraat de! Mera saath de!
Mujhe pastiyon se nikaAL kr mujhe zulmatoan se nijaat de!
Ae Sabooh JalLA Jalaal hoO!
mein kasaafatoan se nidhaal hun!
Mein hun khaak gar! Mujhe paak kar!
Meray Paak Parwardigar Rab!
Mujhe Dard o wird nawaz dE!
Meray KhAaliq o Raaziq Khuda!
Meri fikr ko woh awaz de!
Jo sada daroOD parha kray!
Meri hasti e bardbaad mein jo naya Wujood bapa kray!
Meray Sukhn ko woh Ejaz de!
Jo Azaan ta ba Hijaaz de!
Meri Qaum ko de Tuloo e Noa!
Mujhe noor e ilm nawaz de!
iss honay se ... iss bananay se... behter hai deewana ban ja...
aqal k madrasay se uth... ishq k maikaday mein aa
today i realised once again that ive actually sold myself... the words that were my power have lost their worth as the have turned into a mere product of deception and shallowness... its my job now!!! depth doesnt sell... shining surfaces do!!!
Own a diary. Keep note of what is going on in your life. It would be amazing to look at it few years down the line. Or, you can have a diary of your imagination. A life you want to live. Note down what your character will be doing each day. Live a different life. You can keep it personal. Create one now. You'll love this concept. Login to create new.