its all about my new life and traces of past which i still remember.
19 years old, Female, Pakistan
31st July, 2013
Qadre behter din!!!
aj apni awaz zara oonchi sunae di
Go k gulon k rang aj bhi dikhae na diye
magar phir b aj zindagi bagh c dikhae di
azmae hoi sharton me'n haar maan li mene
to khareede hoe junoon ne aj duae'n di
aj sambhalne k liye qadam uthaya to
meri tanhae ne rukne ki mujhe sadae'n di
hum-umar hum-nawa, ghum-gusar nahi
ghum-gusar ham-nawa se umar bhar ki doori
30th July, 2013.
intehae bechain dino men se aik din.
garam dopeher men pankhe k neeche lete jane kitne ghante mene aik koshish ki. aik koshish k mere wajood k aik aik hisse men meri tanhae sirayat kar jae. kae ghante mene use manane ki koshish ki. us se dosti karne ki koshish ki.
men thak chuka hun. mujhe apna aap ek tapte sehra men nange per chalte insaan ki tara lagta he.
aj 29 july 2013 ko mene kae arse baad apne ird gird pari gard aur dhund k chatne k baad, bahar ka nazara dekha. aj mene kae arse baad bejaan ilfaaz men phir se jaan bharne ki koshish ki. ye meri zindagi ki pehli nazm thi jo mene dil k jazbaat se aari ho kar likhi thi. is se pehle esa kabhi nahi hoa tha. shaed is liye k likhna us waqt meri taqat k sath sath meri kamzori bhi thi. mujhe esa lagta tha k likhna meri pehchaan he. qalm mera dost he aur safaid, kurkure, kore khagahaz, meri mehbooba, jo dunya jahan k kaam chore, mere chand lafzon k intezar men bethi he.
kabhi ulte seedhe lete lete
jab bhi ankhen mondhun to
meri palkon ki jhalar k neeche
ik aks tumhara ban jata he
phir sehraa ki tapti rait per
me'n naam tumhara likhta hun to
sehra sahil ban jata he
aur dil is khuwaab se jal jata he
Own a diary. Keep note of what is going on in your life. It would be amazing to look at it few years down the line. Or, you can have a diary of your imagination. A life you want to live. Note down what your character will be doing each day. Live a different life. You can keep it personal. Create one now. You'll love this concept. Login to create new.