meray Khuwaab.. meri Talaash ..
26 years old, Male, Karachi, Pakistan
“Woh†aur “yehâ€
-----------------------------
Aakhir mere saath hi aisa kiyun hota hai ?? Aakhir kiyun ?? kia aisa hona mere hi naseeb ka hissa hai ?? Kiyun bhala ??
Mjhe kaleem bannay se dar lagta tha …. Kiyun .. pata nahi kiyun?? Lekin ye dar bachpan se mere sath tha …… mjhe khof ataa tha ….. kahin main bhi … nahi … me ksii qeemat par kaleem banna nahi chahta!!!!
“Kaleem†koi anokha kirdaar nahi …
Koi achota insaan nahi …. Faqat aik aisa shaks hai jo toot kar bikhar gia tha .. !!!
Aur ye koi aam baat nahi hai … toot kar bikhar jana …… aik musalsal azaab hai .. insaan agar sirf tootay … aur sanbhal jaey .. tou koi baat nahi … par toot kar bikharna … aik azeeat hai !! aisi azeeat jo na jaan leti hai .. na jaan chorti hai !!
Behar haal … ap jaan gaey .. meray dark a taaluq kisi soorat Kaleem ki shaksiat se nahi …….. main tou kabhi kaleem se mila tak nahi … nahi maloom wo kesa dikhta hoga ……….
Mjhe to bas us bikharnay se dar lagta hai …………. Jo Kaleem se wabasta ho chuka hai !!!
----------------------------------------------------------------
Own a diary. Keep note of what is going on in your life. It would be amazing to look at it few years down the line. Or, you can have a diary of your imagination. A life you want to live. Note down what your character will be doing each day. Live a different life. You can keep it personal. Create one now. You'll love this concept. Login to create new.