Kai mod the us raah mein, kis mod se tum mude ho?
Kuch raste gaye the auron ke dil ko
Kiske dil se ab tum jude ho?
Hazaar saawan aake guzre, kai
Read More
Kab tak chaand ko taktaki lagaaye dekhna hoga mujhe
Kab tak raat ki gehri syaahi phaili rahegi aasmaan ke kaagaz par
Kab tak tumhaare intezaar mein behte rahenge pal
Read More
Kisi ajnabee se poochha jab apne ghar ka pata
Mere sawaal ke saath hi khamoshi behne lagi
Kuch der baad mere shaane par haath aakar tika
Wo haath aaya to tha mere shaane par ek apnepan ke ehsaas
Read More
Seedhiyon pe chadhti tumhaare kadmo ki aahat
Narm paaon ke bojh tale muskuraate paaydaan
So rahe paudhon mein bhi kuch harkat hone lagi
Abhi to aayi ho aur samaa tumhaara mehmaan ban gaya
Raat ke
Read More
Roothi roothi shaam saari, ukhde ukhde se har din
Sooni sooni raat jaayegi, aaj phir kisi ke bin
Baadalon ka saara dhuaan, chha raha hai kuch aise
Chha rahi hai nami jaise, aankhon mein kisi ke bin
Read More
Boondon si wo saari yaadein
Aa jaati hain boondon ke sang
Bhari hui hai jaise kai baatein
Kehne ko par kuch bhi nahin
Geeli mitti ki khushboo ki
Ada pehchaani si lagti hai
Jaisi har roz uski ada
Read More
Kuch roz se jo bandh padi thi kisi bakse mein
Wo boondein aaj phir shor macha rahi hain
Ansuni si unki wo aahat jaise bhula di ho kisi ne
Mausam ka darwaaza wo phir se khatkhata rahi hain
Garaj rahe
Read More
Kisi lamhe se chura kar khushi de dein to chalein
Aapki hai jo lagi aadat, wajah de dein to chalein
Aahista aahista ye safar zara kaat lein to chalein
Hai kyun khaamosh ye rishta, bata de koi
Kyun
Read More
Main mehsoos karta hoon
Un dabe jazbaaton ko aaj tak
Jo tumse milne ke liye betaab hain
Shaam ke kisi peher mein hokar qaid
Haal-e-dil sunaana chaate hain tumhein
Tum to rehti ho bekhabar si
Read More
Apne hi ghar se juda sa hoon
Koi doosra aashiyan bhi nahin milta
Deewaron se rishte bhi toot gaye hain
Deewar sa wo rishta bhi toot gaya
Hai pashemaa zindagi ke wo palchhin
Phool jinpe ab jazbaaton
Read More
Aaj na jaane kya baat hui
Khaamoshi ne ghere rakha dil ko mere
Wo pari si baithi rahi apne aashiyane mein
Main tadapta raha uski ek pukaar ko
Ummeedon ki chaadar bichha di thi maine
Shaayad wahi
Read More
Sharmeeli si wo dhoop
Khidki se jhaank rahi hai
Apni parchhayi ko
Jo kushaada hai mere kamre ke farsh par
Din dhalne ko hai
Par wo dhoop bhi ziddi hai
Apni parchhayi ko lekar hi jaayegi
Le jao phir
Read More
Beh rahi hai zindagi ek raftaar se
Rukne ko kaho to bura maan jaati hai
Wo khamosh si hai jabse jaana hai usko
Jo mili thi mujhe yun raah chalte
Ek maraasim sa ban gaya hai uske saath
Wo hasaati hai
Read More
Kuch mere hoth hain sile hue, kuch aapke dil mein baat hogi
Khabar nahin kisi ko bhi magar, phir kab mulaakaat hogi
Hain khwaab lipte hue sookhe patton ki chaadar mein
Hai shaamil arzoo saari meri
Read More
Ajeeb rishte hain dil ke bade hi bewafa se
Hain sab mere hi apne par lagte hain juda se
Tarasti zindagi ko meri bhanak lagi kahaan se
Main jaaun bhi to jaaun kahaan ab yahaan se
Ek chiraag tale
Read More
Kisi roz khwaab mein dekha tha us pari ko
Wo dikhi thi subah mein dhoop jaisi
Phaili hui dil ki zameen par
Wo baithi thi saamne ek ada ke saath
Jaise kisi ne taraasha ho use
Raat ki jo chaandni
Read More
Mann mein lipte sawaalon ke saath
Main utha apne bistar se
Aur nikla hoon chand ummeedein liye
Sach ki talaash mein
Kya hai sach ye kise pata?
Sab to jhooth ke pyaale hain
Sach ko apna kaun
Read More
Main baitha hoon usi takht pe
Jahaan meri dadi kabhi gaddanasheen thi
Reshmi silvaton ko uljhaati wo
Khud hi se baatein kiya karti thi
Aankhon mein jaise koi sitaara tha basa
Roti thi jab to
Read More
Ek baar ki baat hai
Sooraj ki wo kiran jhaank rahi thi
Khidki se meri ore
Aur dekh ke jab sehmi wo
To liya tha sahaara uss kursi ka
Jispe rakhe mere kurte ki aasteen
Farsh ko choom rahi thi
Aayi
Read More
Aaj nikla hoon phir main intezaar mein
Ki koi naya to milega bazaar mein
Ye bazaar jahaan dosti hai sasti
Milaavat yahaan hai rishto mein basti
Hain mohabbat ke paigaam roz hi bikte
Chand roz se
Read More