Kai mod the us raah mein, kis mod se tum mude ho? Kuch raste gaye the auron ke dil ko Kiske dil se ab tum jude ho? Hazaar saawan aake guzre, kai Read More
Kab tak chaand ko taktaki lagaaye dekhna hoga mujhe Kab tak raat ki gehri syaahi phaili rahegi aasmaan ke kaagaz par Kab tak tumhaare intezaar mein behte rahenge pal Read More
Kisi ajnabee se poochha jab apne ghar ka pata Mere sawaal ke saath hi khamoshi behne lagi Kuch der baad mere shaane par haath aakar tika Wo haath aaya to tha mere shaane par ek apnepan ke ehsaas Read More
Seedhiyon pe chadhti tumhaare kadmo ki aahat Narm paaon ke bojh tale muskuraate paaydaan So rahe paudhon mein bhi kuch harkat hone lagi Abhi to aayi ho aur samaa tumhaara mehmaan ban gaya Raat ke Read More
Roothi roothi shaam saari, ukhde ukhde se har din Sooni sooni raat jaayegi, aaj phir kisi ke bin Baadalon ka saara dhuaan, chha raha hai kuch aise Chha rahi hai nami jaise, aankhon mein kisi ke bin Read More
Boondon si wo saari yaadein Aa jaati hain boondon ke sang Bhari hui hai jaise kai baatein Kehne ko par kuch bhi nahin Geeli mitti ki khushboo ki Ada pehchaani si lagti hai Jaisi har roz uski ada Read More
Kuch roz se jo bandh padi thi kisi bakse mein Wo boondein aaj phir shor macha rahi hain Ansuni si unki wo aahat jaise bhula di ho kisi ne Mausam ka darwaaza wo phir se khatkhata rahi hain Garaj rahe Read More
Kisi lamhe se chura kar khushi de dein to chalein Aapki hai jo lagi aadat, wajah de dein to chalein Aahista aahista ye safar zara kaat lein to chalein Hai kyun khaamosh ye rishta, bata de koi Kyun Read More
Main mehsoos karta hoon Un dabe jazbaaton ko aaj tak Jo tumse milne ke liye betaab hain Shaam ke kisi peher mein hokar qaid Haal-e-dil sunaana chaate hain tumhein Tum to rehti ho bekhabar si Read More
Apne hi ghar se juda sa hoon Koi doosra aashiyan bhi nahin milta Deewaron se rishte bhi toot gaye hain Deewar sa wo rishta bhi toot gaya Hai pashemaa zindagi ke wo palchhin Phool jinpe ab jazbaaton Read More
Aaj na jaane kya baat hui Khaamoshi ne ghere rakha dil ko mere Wo pari si baithi rahi apne aashiyane mein Main tadapta raha uski ek pukaar ko Ummeedon ki chaadar bichha di thi maine Shaayad wahi Read More
Sharmeeli si wo dhoop Khidki se jhaank rahi hai Apni parchhayi ko Jo kushaada hai mere kamre ke farsh par Din dhalne ko hai Par wo dhoop bhi ziddi hai Apni parchhayi ko lekar hi jaayegi Le jao phir Read More
Beh rahi hai zindagi ek raftaar se Rukne ko kaho to bura maan jaati hai Wo khamosh si hai jabse jaana hai usko Jo mili thi mujhe yun raah chalte Ek maraasim sa ban gaya hai uske saath Wo hasaati hai Read More
Kuch mere hoth hain sile hue, kuch aapke dil mein baat hogi Khabar nahin kisi ko bhi magar, phir kab mulaakaat hogi Hain khwaab lipte hue sookhe patton ki chaadar mein Hai shaamil arzoo saari meri Read More
Ajeeb rishte hain dil ke bade hi bewafa se Hain sab mere hi apne par lagte hain juda se Tarasti zindagi ko meri bhanak lagi kahaan se Main jaaun bhi to jaaun kahaan ab yahaan se Ek chiraag tale Read More
Kisi roz khwaab mein dekha tha us pari ko Wo dikhi thi subah mein dhoop jaisi Phaili hui dil ki zameen par Wo baithi thi saamne ek ada ke saath Jaise kisi ne taraasha ho use Raat ki jo chaandni Read More
Mann mein lipte sawaalon ke saath Main utha apne bistar se Aur nikla hoon chand ummeedein liye Sach ki talaash mein Kya hai sach ye kise pata? Sab to jhooth ke pyaale hain Sach ko apna kaun Read More
Main baitha hoon usi takht pe Jahaan meri dadi kabhi gaddanasheen thi Reshmi silvaton ko uljhaati wo Khud hi se baatein kiya karti thi Aankhon mein jaise koi sitaara tha basa Roti thi jab to Read More
Ek baar ki baat hai Sooraj ki wo kiran jhaank rahi thi Khidki se meri ore Aur dekh ke jab sehmi wo To liya tha sahaara uss kursi ka Jispe rakhe mere kurte ki aasteen Farsh ko choom rahi thi Aayi Read More