Wo bhi kya din the hote
Jab the hum bachhe chhote
Befikri ki neend the sote
Ma papa ke pass the hote
Chhoti chhoti baaton mn hi haste rote
Wo bhi kya din the hote!
Ab h bade hone ki baari
Leni hogi ab, khudki zimmedaari
Sikhni padegi ab, duniyadaari
Dikhani hogi apni hoshiyaari
Bhool jao yaari karo taiyaari
Taaki kadmon pe apne, ho duniya saari
Par Ek baat batana
kya aise hi h bade hote!
Bas haar jeet ka pyala peete?
Badi badi baaton mn apni ,
chhoti chhoti khusiyan khote,
Bas naam ke insaan kehlate,
Par kathputliyo sa jeewan jeete?
Zindagi ko ab hum paiso se h tolte,
Aur ab hum yahi h bolte
Bachpan ki yaadein tatolte
Kash ki hum bade hi na hote!
Bado ki duniya bohot hi kroor h,Magroor h
Ab bachpan ki yaadein hi,In aankho ka noor h
Wo nazara hi chashmebaddoor h
Aur apne ladakpan par humko guroor h
Bada hona achha h,Ye to dimaag ka phatoor h!
Par ab jab hum duniya ke nazron mn 'bade' h
Karte h hum khudse wada
Na karne denge insaniyat ko khudse door h
Aur apne andar ke ladakpan ko ,
zinda rakhenge zaroor h!