Jab khud sapne bunta hai
Phir dusro ki kyu sunta hai
Jab tu pyar kisiko karta hai
To khene se kyu darta hai
Tera bhot kuch karne ko mann krta hai
Toh phir bahane kyu banata hai
Tu khud hi jab aasman hai
To kyu zamein pe chalta hai
Tu khud se hi sekh sakta hai
Phir bakiyon se kyu puchta hai
Tu khuli hwa mein saans leta aur jeeta hai
Kyu phir aazadi ke leye tarasta hai
Tujhme himmat hai tujhme taqkat hai
Phir bhi peche ke raston ko dhundhta hai
Tu apne haq k leye lad sakta hai
Phir bhi apne mu pe chuppi dal k kyu bethta hai
Tu janta hai tu sab kuch kar sakta hai
To phir kyu kuch nhi karta
Kyu kyu

Koon rokta hai
Koon darta hai
Apne andar dekh to zara tu khud hi khud se bhagta hai
Sach Jante hue bhi kyu juth bolta hai
Apne andar se shaitan ko maar
Maan pe kaabo karna seekh
Dekh phir kaise ye saara jahan tujhe saalam tokhta hai...
Tu dusron ki sunta hai na!!
Kuch aisa kar ki dusron ko tu kuch suna sake!!
Kuch aisa kar k sabko sath mila sake!!
Muskilon ko has kr hello to bol!!
Thodi si mehnat to kar!!
Dekh vhi asli khushiyaan khelayeingi!!
Vhi tujhe sabse upar pahuchayeingi!!
Vhi tujhe khud se alag banayeingi!!


Sign In to know Author