This was penned down during my initial days of poetry writing and when the mind realized ki bhai 'Sabse Bada Rupaiya'!


Mere paas ek sikka aaya
aur mujhe apni kahani sunane laga
kahta main tu World Tour par ja chukka
kabhi idhar tu kabhi udhar dakke kha chuka
Pehle main ek budhi aurat ke ghar gya
usne mujhe ek kali ganghoor jagah rakha
Vahan dhul mitti chaat chaat kar mera bhura haal ho gya
Aur phir usne mujhe ek rikshaw wale ko de diya
Vo rikshaw wala mujhe dekhkr hua itna khush
Jaise usse mujh mein dikhai dene lage
World famous Shahrukh Khan ya phir George W Bush
Phir mujhe apne paas lakr di ek sadiya si kiss
aur apni hi tarah bna diya badbudaar aur lavariss.

Parantoo,
Iss travelling ke dooran
mujhe iss baat ka hua gyaan
ki logo ko mujhe hai bahut pyaar
tabhi tu kisi ko dene se pehle vo sochte hai kam se kam dass baar.
Maine hi hoon pradhan
aur mere hi karan chalta hai ye saara sansaar
Maine hi dilwaya hai logo ko bangla, ac aur ye aalishan car
Aree mere hi karan janmein ameer gareeb jaise shabd
Maine hi kiya hai manushya ko manushya jati se alag.
Mere hi karan Pramod Mahajan ne kiya Praveen Mahajan ka khoon
Maine hi kiya hai apno ko apno se door.

Aaj tak ye prashn hai gupt
Aakhir kyun log mujhe mante hai sab kuchh!

Tags: Poetry

Sign In to know Author