Kaaash me aansu ko beenai de sakta
to dekh leta k rota huwa chehra…
h kitna bura lagta…

Kaaash main udaasi ko khushi de sakta ...
to khud ko kitna...badnaseeeb samjhti wo...

Kaaaash me takleeef ko ahsaas de sakta
to mehsus kar leti k kitna hai mushkil …
khud ko sehna ….

kaaash me maaayooosi ko samjha sakta…
to samjh jati k toot’ta hai jab insaan …
to doob jata hai…gharq hojata hai...

kaaash me nafrat ko muhabbat de sakta ...
to kitna sharam se jhuk jaati na nafrat..

kaaash main ghussay ko sabar de sakta…
to jhoomta or kehta ..
yeh dunya hai kitni pur-sukun….

kaaash me jhooot ko aaaina dikha sakta…
to dekhte he apne ghaleez chehre ko…
cheekhain maaarne lagta…

kaaash me dhokay ko aitemaaad dila sakta…
to uska josh maarta khooo'n…
uski akri howee naso me
aik uthta huwa tooofa'n ..
tham jata …

kaaash me raqeeeb ko aaashiq bana deta …
to dewana hojata….
khudko majnu ,farhaad keh deta…

kaaash me fasaad ko aman se mila sakta....
to khushi se isi zameen ko jannat …
apna ghar keh deta…

kaaash main hasrat ko takmeeel dila sakta
to wo dil ki wo makhmoor dharkain sunti….
jo kisi ki hasrat k pooray hona par..
dil ka nazraana hoti hain…

kaaaash main is kaaash ko ek HAAN bana sakta..
to Asim sharam mat kar ..sahi hai tu keh rha …
insaaan RAB ko he paaa leta…..

Sign In to know Author