rote hue aai thi mere paas kal
keh rahi thi maa mai nhi rukungi ab ek pal
aapne wada kia tha vo gudiya dilaoge
jo mai padhai karlu to ghumne le jaoge
aakho ki chamak uski gul hogai
jab maine kaha bete abhi paise nhi hai
shayad yahi mujhse vo bhool hogai
kyuki ab zindagi k sare din vaise nhi hai
subah se khafa - khafa si thi mujhse
mu fula kar padhne gai
uski narazgi bardasht nhi hui mujhse
fir uski gudiya mai lene gai
aai jab mai wapis ghar to goonj uski thi nhi
awaz mari maine shayad vo ghar par thi nhi
raat hogai jab to maine kaha uske papa se
are dhoondo use vo kaha chali gai
tab jaante nhi the hum ki
vo to khuda ke sath chali gai
do din beet gaye police humse poochti rahi ki wo kaun ho sakta hai
mai in se kehti rahi phone charge rakho paiso ke liye kisika call aa sakta hai...
na koi phone aaya na pta chala vo kaun tha
bas ek sharir mila unhe jisko pehchan ne k liye hume kaha
safed chadar me leti thi vo, vohi masoom chehra liye
bas ek farak tha na vo muskura rahi thi na uski saase chal rahi thi
bikhar gai mai jamin par mera sab kuch lut chuka tha
aisa kaunsa jaanwar tha to jism ka itna bhookha tha ??
pta chala hume ki uska kisine galat fayada tha uthaya
are vo sirif 9 saal ki thi ! jorse mera imaan chillaya
aaj afsos me doob chuki hu mai ki vo mujhse itna kyu rooth gai
uski gudiya ko god me lekar mai hu dhoondne saboot gai
pta nhi mujhe wo darinda kabhi milega ya nhi
bas ye jaanti hu meri beti mujhse ab hamesha ke liye rooth gai....